22/05/2026
Muashra Aur Hum
Aaj ka muashra ajeeb do rahe par khada nazar aata hai.
Na poori tarah adab baaqi raha aur na hi poori tarah English culture apnaya gaya. Ye ek beech ka muashra hai jahan auratein azadi ka nara lagati nazar aati hain, lekin jab unhe poori azadi di jaati hai to phir wahi auratein faryaad karti bhi nazar aati hain.
Aakhir hamare muashre ko kya ho gaya hai?
Hum kis simt ja rahe hain?
“Ladka ladki barabar hain” ka nara diya jata hai, lekin jab auraton ko night duty di jati hai to kaha jata hai ke auraton ke saath na-insafi ho rahi hai.
Aaiye zara adabi muashre ki taraf chalte hain.
Wahan mard aurat ka khayal rakhte nazar aayenge.
Unka samaan uthayenge, bachon ki dekhbhal karenge, pehle aurat ko bithayenge phir khud baithenge. Kharch uthayenge kyunki aurat unki zimmedari hoti hai.
Lekin yahan aurat ki bhi zimmedari banti hai ke woh apne khawind ko woh darja de jo ek sarparast ka hota hai. Mere khayal me isme koi qabahat nahi honi chahiye.
Jab aap kisi job me hote hain to wahan ke kuch usoolon ki pairvi karni padti hai, kyunki woh aapko salary dete hain aur aapka waqt khareed lete hain.
Isi tarah jab aap nikah ka rishta qabool karte hain — chahe apni pasand se ya walidain ki pasand se — to ek doosre ke huqooq aur zimmedariyon ko samajhna bhi zaroori hota hai.
Aurat bhi mard par choti choti pabandiyan lagati hai, apne shauq poore karwati hai, apni pasand manwati hai — aur ye sab mohabbat aur adab ka hissa hota hai.
Lekin agar mard apni biwi ki hifazat kare, use sakht ya mushkil mahaul se bachana chahe, to har baat ko “sar-zanash” ya zulm samajhna bhi theek nahi.
Agar ek mard ye nahi chahta ke uski biwi dar dar ki thokrein khaye aur woh khud uski zarooriyat poori kar raha hai, to is par Allah ka shukr ada karna chahiye.
Ab English culture ko dekhiye.
Na mard aurat ko rokta hai aur na aurat mard ko tokti hai. Nateeja ek aisa culture saamne aata hai jo be-hiss aur be-lagaam sa mehsoos hota hai.
Hamara muashra English culture se bahut mutassir ho chuka hai.
Be-shak achi baatein apnani chahiyein, lekin adab aur hudood ke dayre me.
Zara gaur kijiye…
Is shadeed garmi me ek mard ghar se bahar nikalta hai, mehnat karta hai, kamata hai, taake apni biwi aur bachon ke shauq poore kar sake.
Khud ke liye shayad ek simple lower aur T-shirt kaafi hoti hai, lekin hum hain ke naye kapdon aur naye ghar ke samaan se dil hi nahi bharta.
Apne kafeel ki qadar kijiye…
Woh sirf isliye kamata hai kyunki aap uski zimmedari hain.
Aur waqai, Allah ne mard ko kuch aisi sifaat di hain jin ki wajah se uska rutba buland kiya gaya.
Unhi sifaat me se ek sifat hai:
“Paalne wala.”
— Mumtaz fatema