21/10/2026
*Akhrot ka Faida - Superfood hai!* 🥜🧠
Akhrot ko "Dimagh ka meva" kehte hain, kyunki shakal bhi dimagh jaisi hai aur kaam bhi dimagh ka.
# # # *1. Dimagh Tez*
Omega-3 (DHA) sab se zyada akhrot me hai. Memory, focus, stress kam karta hai. Students aur office walo ke liye best.
# # # *2. Dil ke liye Best*
Cholesterol aur blood pressure control karta hai. Roz 2-3 akhrot khane se dil ki nasain saaf rehti hain.
# # # *3. Neend Achi*
Melatonin hota hai isme. Raat ko 2 akhrot khao to neend gehri aati hai.
# # # *4. Wazan aur Sugar Control*
Pet bhara rehta hai, meetha khane ka dil kam karta hai. Diabetes walo ke liye bhi faida mand - sugar spike nahi karta.
# # # *5. Jild aur Baal*
Vitamin E aur biotin se baal mazboot, jild glow karti hai. Chehre ke dane walo ke liye bhi acha hai kyunki andar se inflammation kam karta hai.
# # # *6. Mardon aur Aurton ke liye*
- Mardon me energy aur fertility ke liye
- Aurton me hormones balance
# # # *Kitne Khane Chahiye?*
- *Roz 3-4 akhrot (30 gram)* kaafi hai. Zyada khane se garmi aur wazan barh sakta hai
- *Best Time*: Subha bhooke pet ya sham 4-5 baje snack me
- *Bhigo ke khao*: Raat ko pani me bhigo do, subha chilka nikal ke khao - hazam jaldi hota hai aur kadwahat kam
# # # *Kis ko kam khana chahiye?*
Agar aap ko nut allergy hai ya pait me bohat garmi / acidity rehti hai to 1-2 se zyada mat khao.