21/06/2026
Namaskar everyone,
Aaj hum International Yoga Day mana rahe hain. Yoga sirf ek vyayam nahi hai, balki jeevan jeene ki ek kala hai. Yoga humein sharirik, maansik aur aatmik roop se swasth banata hai.
Aaj ki bhaag-daud bhari zindagi mein stress, anxiety aur lifestyle disorders badh rahe hain. Yoga humein apne aap se jodne, man ko shaant karne aur jeevan mein santulan lane ka avsar deta hai.
Aaiye, is International Yoga Day par hum sab sankalp lein ki yoga ko keval ek din ka utsav nahi, balki apni rozana ki jeevanshaili ka hissa banayenge.
Dhanyavaad. Hari Om Tat Sat.